Home | Index of Poets Himayat Ali Shayar



ab bataao jaayegii zindagii kahaa.N yaaro


ab bataao jaayegii zindagii kahaa.N yaaro
phir hai.n barq kii nazare.n suu-e-aashiyaa.N yaaro

ab na ko_ii manzil hai aur na rah_guzar ko_ii
jaane qaafilaa bhaTake ab kahaa.N kahaa.N yaaro

phuul hai.n ki laashe.n hai.n baaG hai ki maqtal hai
shaaKh shaaKh hotaa hai daar kaa gumaa.N yaaro

maut se guzar kar ye kaisii zindagii paa_ii
fikr paa-ba-jaulaa.N hai gung hai zabaa.N yaaroo

turbato.n kii shamaye.n hai.n aur gaharii Khaamoshii
jaa rahe the kis jaanib aa gaye kahaa.N yaaro

raahazan ke baare me.n aur kyaa kahuu.N khul kar
miir-e-kaaravaa.N yaaro miir-e-kaaravaa.N yaaro

sirf zindaa rahane ko zindagii nahii.n kahate
kuchh Gam-e-muhabbat ho kuchh Gam-e-jahaa.N yaaro



Home | Index of Poets Himayat Ali Shayar