Allama Iqbal - Jaan.com - Largest Collections of Urdu Hindi Shayari / Poetry / Kavita - Funny, Sad, Romantic, Pyar Mohabbat Shayari, Lyrics, Ghazals, Songs, Quotes, Riddles & More


mohabbat ka junuu.N baaqii nahii.n hai
Allama Iqbal

mohabbat ka junuu.N baaqii nahii.n hai
musalamaano.n me.n Khuun baaqii nahii.n hai

safe.n kaj, dil pareshan, sajdaa bezuuk
ke jazabaa-e-a.ndruun baaqii nahii.n hai

rago.n me.n lahuu baaqii nahii.n hai
wo dil, wo aawaaz baaqii nahii.n hai

namaaz-o-rozaa-o-qurbaanii-o-haj
ye sab baaqii hai tuu baaqii nahii.n hai

Home | Index of Poets






Last updated on 18th December, 1997