Home | Index of Poets Majaz Lucknawi



husn phir fitnaagaar hai kyaa kahiye


husn phir fitnaagaar hai kyaa kahiye 
dil kii jaanib nazar hai kyaa kahiye 

phir vahii rahaguzar hai kyaa kahiye 
zindagii raahabar hai kyaa kahiye 

husn Khud pardaadaar hai kyaa kahiye 
ye hamaarii nazar hai kyaa kahiye 

aah to be-asar thii baraso.n se 
naGmaa bhii be-asar hai kyaa kahiye 

husn hai ab na husn ke jalve 
ab nazar hii nazar hai kyaa kahiye 

aaj bhii hai 'Majaz' Khaak_nashii.n 
aur nazar arsh par hai kyaa kahiye 



Home | Index of Poets Majaz Lucknawi