Home | Index of Poets Makhmoor Saeedi



jahaa.N mai.n jaa_uu.N havaa kaa yahii ishaaraa ho


jahaa.N mai.n jaa_uu.N havaa kaa yahii ishaaraa ho
ko_ii nahii.n jo yahaa.N muntazir tumhaaraa ho

merii bujhatii hu_ii aa.Nkho.n ko raushanii baKhshe
vo phuul jo tere chehare kaa ista'araa ho

chalaa huu.N apanii hii aavaaz-e-baaz_gasht pe yuu.N
kisii ne duur se jaise mujhe pukaaraa ho

ga.Nvaa chuke ka_ii umre.n ummiid_vaar tere
kahaa.N tak aur terii beruKhii gavaaraa ho

tuu paas aate huye mujh se duur ho jaaye
ajab nahii.n ki yahii haadasaa dobaaraa ho

nazar farebii-e-rang-e-chaman se bach 'Makhmoor'
jise tuu phuul samajh le kahii.n sharaaraa ho



Home | Index of Poets Makhmoor Saeedi