Meer Taqi Meer - Jaan.com - Largest Collections of Urdu Hindi Shayari / Poetry / Kavita - Funny, Sad, Romantic, Pyar Mohabbat Shayari, Lyrics, Ghazals, Songs, Quotes, Riddles & More




muu.Nh takaa hii kare hai jis-tis kaa
Meer Taqi Meer

muu.Nh takaa hii kare hai jis-tis kaa
hairatii hai ye aaiinaa kis kaa

shaam se bujhaa bujhaa saa rahataa hai
dil huaa hai chiraaG muflis kaa

[muflis=poor]

the bure muGabacho.n ke tevar lek
shaiKh maiKhaane se bhalaa khisakaa

faiz-e-abr chashm-e-tar se uThaa
aaj daaman vasii hai is kaa

taab kis ko jo haal-e-'Meer' sune
haal hii aur kuchh hai majalis kaa

[taab=patience]

Home | Index of Poets






Last updated on 9th December, 1997