taviil sadiyo.n ke besadaa ma.nzaro.n se puuchho
Meraj Faizabadi

taviil sadiyo.n ke besadaa ma.nzaro.n se puuchho
merii tabaahii kii daastaa.N pattharo.n se puuchho

tumhaare mahalo.n kii shaan-o-shaukat bhii aarazii hai.n
hamaare maazii kaa kyaa huaa, maqabaro.n se puuchho

zaruurato.n ne zubaa.N par pahare biThaa diye hai.n
jo ham pe guzarii hamaare uja.De gharo.n se puuchho

Home | Index of Poets






Last updated on 14th May, 1998