|
ab ye suurat hai ke ai pardaanashii.n
tujh se ahabaab chhupaate hai.n mujhe

bahr-e-ayaadat aaye vo lekin qazaa ke saath
dam hii nikal gayaa meraa aavaaz-e-paa ke saath

dil bastagii sii hai ko_ii zulf-e-dotaa ke saath
paalaa pa.Daa hai ham ko Khudaa kis balaa ke saath
maa.Ngaa kare.nge ab se duaa hijr-e-yaar kii
aaKhir ko dushmanii hai asar ko duaa ke saath

Gazab se terii Darataa huu.N razaa kii terii Khvaahish hai
na mai.n bezaar dozaKh se na mai.n mushtaaq jannat kaa

maktab-e-ishq ka "Momin" hai niraalaa dastuur
us ko chhuTii na milii jis ko sabak yaad huaa

ulaTe vo shikave karate hai.n aur kis adaa ke saath
be-taakhatii ke taane hai.n uzr-e-jafaa ke saath

|