Home | Index of Poets Mumtaz Rashid



mujh se meraa kyaa rishtaa hai har ik rishtaa bhuul gayaa


mujh se meraa kyaa rishtaa hai har ik rishtaa bhuul gayaa 
itane aa_iine dekhe hai.n apanaa cheharaa bhuul gayaa 

ab to ye bhii yaad nahii.n hai farq thaa kitanaa dono.n me.n 
us kii baate.n yaad rahii.n aur us kaa lahajaa bhuul gayaa 

pyaasii dhartii ke ho.nTho.n par meraa naam nahii.n to kyaa 
mai.n vo baadal kaa tuka.Daa huu.N jis ko dariyaa bhuul gayaa 

duniyaa vaale kuchh bhii kahe.n "Raashid" apanii majabuurii hai 
us kii galii jab yaad aa_ii hai ghar kaa rastaa bhuu gayaa 



Home | Index of Poets Mumtaz Rashid