Home | Index of Poets Shahryar



kiyaa iraadaa baarahaa tujhe bhulaane kaa


kiyaa iraadaa baarahaa tujhe bhulaane kaa 
milaa na uzr hii ko_ii magar Thikaane kaa 

ye kaisii ajanabii dastak thii kaisii aahaT thii 
tere sivaa thaa kise haq mujhe jagaane kaa 

ye aa.Nkh hai ki nahii.n dekhaa kuchh sivaa tere 
ye dil ajab hai ki Gam hai ise zamaane kaa 

vo dekh lo vo samandar Khushk hone lagaa 
jise thaa daavaa merii pyaas ko bujhaane kaa 

zamii.n pe kis liye zanjiir ho gaye saaye 
mujhe pataa hai magar mai.n nahii.n bataane kaa 



Home | Index of Poets Shahryar