Home | Index of Poets Shahryar



justajuu jis kii thii us ko to na paayaa ham ne


justajuu jis kii thii us ko to na paayaa ham ne
is bahaane se magar dekh lii duniyaa ham ne
 
tujh ko rusavaa na kiyaa Khud bhii pashemaa.N na huye
ishq kii rasm ko is tarah nibhaayaa ham ne
 
kab milii thii kahaa.N bichha.Dii thii hame.n yaad nahii.n
zindagii tujh ko to bas Khvaab me.n dekhaa ham ne
 
ai 'Ada' aur sunaaye bhii to kyaa haal apanaa
umr kaa lambaa safar tay kiyaa tanhaa ham ne



Home | Index of Poets Shahryar