|
be-talab kuchh bhii na paayaa baar_gaah-e-husn se
bhiikh qismat me.n likhii thii haath phailaate rahe

maaluum hai dil kii fitanaagarii phir bhii to nibhaanaa pa.Dataa hai
is ishq me.n aksar dushman ko siine se lagaanaa pa.Dataa hai

na fanaa merii na baqaa merii mujhe ai 'Shakeel' na Dhuu.NDhiiye
mai.n kisii kaa husn-e-Khayaal huu.N meraa ko_ii vajuud-e-adam nahii.n

vahii kaaravaa.N vahii raaste vahii zindagii ke marhale
magar apane apane muqaam par kabhii tum nahii.n kabhii ham nahii.n

uqbaa me.n bhii milegii yahii zindagii 'Shakeel'
mar kar bhii chhuT na paaye.Nge is dard-e-sar se ham

|