Home | Index of Poets Wajida Tabassum



yaa to miT jaa_iye yaa miTaa diijiye


yaa to miT jaa_iye yaa miTaa diijiye 
kiijiye jab bhii saudaa kharaa kiijiye 

ab jafaa kiijiye yaa wafaa kiijiye 
aaKharii vaqt hai bas duaa kiijiye 

apane chehare se zulfe.n haTaa diijiye 
aur phir chaa.Nd kaa saamanaa kiijiye 

har taraf phuul hii phuul khil jaaye.nge 
aap aise hii ha.Nsate rahaa kiijiye 

aap kii ye ha.Nsii jaise ghungaruu baje 
aur qayaamat hai kyaa ye bataa diijiye 



Home | Index of Poets Wajida Tabassum