Home | Index of Poets Wali Mohammed Wali



ruuh baKhshii hai kaam tujh lab kaa


ruuh baKhshii hai kaam tujh lab kaa 
dam-e-isaa hai naam tujh lab kaa 

husn ke khizr ne kiyaa labarez 
aab-e-haivaa.N so.n jaam tujh lab kaa 

ma.ntaq-o-hikmat-o-maanii par 
mushtamil hai kalaam tujh lab kaa 

rag-e-yaquut ke qalam so.n likhe.n 
Khat parastaaN payaam tujh lab kaa 

sabzaa-o-barg-o-laalaa rakhate hai.n 
shauq dil me.n davaam tujh lab kaa 

Gurq-e-shukar hue hai.n kaam-o-zabaa.N 
jab liyaa huu.N mai.n naam tujh lab kaa 

hai "Wali" kii zabaa.N ko.n lazzat baKhsh 
zikr har sub_h-o-shaam tujh lab kaa 



Home | Index of Poets Wali Mohammed Wali